badal ke bhes vo chehrā kahāñ kahāñ na milā
talāsh jis kī thī vo husn-e-jāvedāñ na milā
khaḌā huuñ kab se sar-e-rahguzār-e-vaqt nadīm
maiñ jis ke saath chalūñ aisā kārvāñ na milā
ḳhizāñ guzar ga.ī lekin guloñ ke rañg haiñ zard
bahār ko sila-e-ḳhūn-e-kushtagāñ na milā
kahāñ se zehn meñ chhup chhup ke vahm aate haiñ
kabhī yaqīñ ko surāġh-e-rah-e-gumāñ na milā
maiñ ahl-e-fikr kī bastī bhī rauñd aayā huuñ
kahīñ koī ġham-e-hastī kā rāzdāñ na milā
kuchal ke yaad kī lāsheñ guzar gayā ġham-e-dahr
maiñ DhūñDhtā rahā zaḳhmoñ kā bhī nishāñ na milā
utar ke dekh chukā rañg ke jazīroñ meñ
tire shabāb kā vo rañg-e-arġhavāñ na milā