Ehtisham Husain

gham mein ek mauj sarKHushi ki hai

Ehtisham Husain

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1972
ġham meñ ik mauj sarḳhushī kī hai
ibtidā sī ḳhud āgahī kī hai
kise samjhā.eñ kaun mānegā
jaise mar mar ke zindagī kī hai
bujhīñ sham.eñ to dil jalā.e haiñ
yuuñ añdheroñ meñ raushnī kī hai
phir jo huuñ us ke dar pe nāsiya sā
maiñ ne ai dil tirī ḳhushī kī hai
maiñ kahāñ aur dayār-e-ishq kahāñ
ġham-e-daurāñ ne rahbarī kī hai
aur umDe haiñ aañkh meñ aañsū
jab kabhī us ne dil-dahī kī hai
qaid hai aur qaid-e-be-zanjīr
zulf ne kyā fusūñ-garī kī hai
maiñ shikār-e-itāb hī to nahīñ
mehrbāñ ho ke baat bhī kī hai
bazm meñ us kī baar paane ko
dushmanoñ se bhī dostī kī hai
un ko nazreñ bachā ke dekhā hai
ḳhuub chhup chhup ke mai-kashī kī hai
har taqāzā-e-lutf par us ne
taaza rasm-e-sitamgarī kī hai
Top Urdushayar.com