Ehtisham Husain

dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe

Ehtisham Husain

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1972
dekh kar jāda-e-hastī pe subuk-gām mujhe
duur se taktī rahī gardish-e-ayyām mujhe
Daal kar ek nazar pyaar kī merī jānib
dost ne kar hī liyā banda-e-be-dām mujhe
kal suneñge vahī muzhda mirī āzādī kā
aaj jo dekh ke hañste haiñ tah-e-dām mujhe
dekh letā huuñ andhere meñ ujāle kī kiran
zulmat-e-shab ne diyā sub.h kā paiġhām mujhe
na to jiine hī meñ lazzat hai na marne kī umañg
un nigāhoñ ne diyā kaun sā paiġhām mujhe
maiñ samajhtā huuñ mujhe daulat-e-kaunain milī
kaun kahtā hai ki vo kar ga.e badnām mujhe
garche āġhāz-e-mohabbat ne diye haiñ dhoke
liye jaatī hai kahīñ kāvish-e-anjām mujhe
terā hī ho ke jo rah jā.ūñ to phir kyā hogā
ai junūñ aur haiñ duniyā meñ bahut kaam mujhe
Top Urdushayar.com