gulshan-e-dil meñ mile aql ke sahrā meñ mile
jo bhī milnā hai mile aur isī duniyā meñ mile
barhamī anjuman-e-shauq kī kyā pūchhte ho
dost bichhḌe hue akasr saf-e-a.adā meñ mile
aane vāloñ ne mire ba.ad gavāhī dī hai
ka.ī gulzār mire naqsh-e-kaf-e-pā meñ mile
yuuñ bhī guzrī hai ki chhā.e rahe bedārī par
niiñd aa.ī to vo ġham ḳhvāb kī duniyā meñ mile
nahīñ mālūm ki kyā dekhne aa.e the udhar
be-ajar log bahut shahr-e-tamāshā meñ mile
phir umīdoñ ne yahīñ gaaḌ diye haiñ ḳheme
rañg kuchh uḌte hue dāman-e-sahrā meñ mile
fāsloñ se na mire shauq kī manzil naapo
shash-jihat said mire dām-e-tamannā meñ mile