Ehtisham Husain

mahfil-e-dost mein go sina-figar aae hain

Ehtisham Husain

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1972
mahfil-e-dost meñ go sīna-figār aa.e haiñ
sūrat-e-naġhma ba-andāza-e-bahār aa.e haiñ
is nazar se ki tire zulm kī tash.hīr na ho
be-qarārī meñ liye dil kā qarār aa.e haiñ
ek pindār-e-ḳhudī jis ko bachā rakkhā thā
aaj ham vo bhī tirī bazm meñ haar aa.e haiñ
zulmat-e-shām-e-ḳhizāñ yaad karegī barsoñ
ham jab aa.e haiñ gulistāñ-ba-kanār aa.e haiñ
ai rafīqān-e-rah-e-shauq kahāñ ho bolo
ham tumheñ shahr-o-bayābāñ meñ pukār aa.e haiñ
hai pur-āshob fazā phir bhī kisī jānib se
dil ke vīrāne meñ paiġhām-e-bahār aa.e haiñ
ġham-e-manzil meñ bhaTakte hī guzar jaatī hai
chhoḌ kar jab se terī rāh-e-guzar aa.e haiñ
zindagī roz na.ī lagtī hai dil vāloñ ko
garche har roz vahī lail-o-nahār aa.e haiñ
dekhnā luuTī ga.ī kaun sī bastī yaaro
uḌ ke dil tak jo kudūrat ke ġhubār aa.e haiñ
apne anjām se ḳhush apnī vafā par nāzāñ
muskurāte hue ham janib-e-dār aa.e haiñ
Top Urdushayar.com