aql pahuñchī jo rivāyāt ke kāshāne tak
ek hī rasm milī kaaba se but-ḳhāne tak
vādi-e-shab meñ ujāloñ kā guzar ho kaise
dil jalā.e raho paiġhām-e-sahar aane tak
ye bhī dekhā hai ki saaqī se milā jaam magar
hoñT tarse hue pahuñche nahīñ paimāne tak
regzāroñ meñ kahīñ phuul khilā karte haiñ
raushnī kho ga.ī aa kar mire vīrāne tak
ham-nashīñ kaT hī gayā daur-e-ḳhizāñ bhī āḳhir
zikr phūloñ kā rahā fasl-e-bahār aane tak
saarī uljhan hai sukūñ ke liye ai shauq Thahar
ġham kā tūfān-e-balā-ḳhez guzar jaane tak
zehn māyūs-e-karam shauq-e-nazāra sarshār
hosh meñ kaise rahūñ un kā payām aane tak
zaḳhm yādoñ ke mahakte haiñ ki aa.ī hai bahār
hai ye daulat ġham-e-daurāñ kī ḳhizāñ aane tak
be-niyāzī hai taġhāful hai ki be-zārī hai
baat itnī to samajh lete haiñ dīvāne tak
zindagī ġham se ulajhtī hī rahegī hamdam
vaqt kī zulf girah-gīr sulajh jaane tak
manzil-e-rāh talab thī to kahīñ aur magar
ruk ga.e ḳhud hī qadam pahuñche jo mai-ḳhāne tak