gayā thā bazm-e-mohabbat meñ ḳhālī jaam liye
kaTī hai umr gadā.ī kā ittihām liye
kahīñ hue bhī jo raushan mohabbatoñ ke charāġh
havā.eñ dauḌ paḌīñ vahshatoñ ke daam liye
tilism-e-rāz na khul jaa.e tañg-bīnoñ par
tumhāre naam se pahle hazār naam liye
bhaTak rahā huuñ maiñ tanhā.iyoñ ke jañgal meñ
hayāt raqs meñ hai husn-e-sub.h-o-shām liye
kabhī milī thī jo ik dard-e-nā-rasā kī ḳhalish
maiñ jī rahā huuñ vahī zaḳhm-e-nā-tamām liye
kisī kī yaad meñ akasr yahī huā mahsūs
falak zamīn pe utrā mah-e-tamām liye
milī hai gardish-e-ayyām har zamāne meñ
sahar umiid kī aur jāñ-kanī kī shaam liye