Ehtisham Husain

kuchh mere shauq ne dar-parda kaha ho jaise

Ehtisham Husain

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1972
kuchh mire shauq ne dar-parda kahā ho jaise
aaj tum aur hī tasvīr-e-hayā ho jaise
yuuñ guzartā hai tirī yaad kī vaadī meñ ḳhayāl
ḳhārzāroñ meñ koī barhana-pā ho jaise
saaz nafrat ke tarānoñ se bahalte nahīñ kyuuñ
ye bhī kuchh ahl-e-mohabbat kī ḳhatā ho jaise
vaqt ke shor meñ yuuñ chīḳh rahe haiñ lamhe
bahte paanī meñ koī Duub rahā ho jaise
kaisī gul-rañg hai mashriq kā ufuq dekh nadīm
nadī kā ḳhuuñ raat kī chaukhaT pe bahā ho jaise
yā mujhe vahm hai suntā nahīñ koī merī
yā ye duniyā hī koī koh-e-nidā ho jaise
bahr-e-zulmāt-e-junūñ meñ bhī nikal aa.ī hai raah
ishq ke haath meñ muusā kā asā ho jaise
dil ne chupke se kahā koshish-e-nākām ke baad
zahr hī dard-e-mohabbat kī davā ho jaise
dekheñ bach jaatī hai yā Dūbtī hai kashti-e-shauq
sāhil-e-fikr pe ik hashr bapā ho jaise
Top Urdushayar.com