Ehtisham Husain

rasm hi shahr-e-tamanna se wafa ki uTh jae

Ehtisham Husain

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1972
rasm hī shahr-e-tamannā se vafā kī uTh jaa.e
is tarah to na koī ahl-e-mohabbat ko satā.e
vādi-e-dil meñ ka.ī rātoñ se sannāTā hai
kaash bijlī hī tire abr-e-sitam se gir jaa.e
apnī zillat kī salīb aap liye phirnā hai
ye baḌā bojh mohabbat ke sivā kaun uThā.e
bar-sar-e-jañg haiñ anvār se zulmāt ke dev
chāñd rātoñ ke añdhere meñ kahīñ Duub na jaa.e
ye samajh lo ki rag-e-jāñ meñ hai zahrāb-e-junūñ
jab nigāh-e-karam-o-lutf se bhī dil dukh jaa.e
dasht-e-ummīd meñ jaltā hai mire ḳhuuñ kā charāġh
raah manzil kī kaho mere sivā kaun dikhā.e
bārish-e-sañg-e-malāmat hai ḳhirad kā pathrāv
apne sar se ho jise pyaar mire saath na aa.e
Top Urdushayar.com