dil tirī yaad meñ har lamha taḌaptā bhī nahīñ
band ho jaa.e taḌapnā ye gavārā bhī nahīñ
vo nahīñ paas to ehsās-e-rifāqat hai sivā
ġham-e-tanhā.ī ke zindāñ meñ maiñ tanhā bhī nahīñ
dasht dīvānoñ se ābād hue jaate haiñ
ab to jāgīr kisī qais kī sahrā bhī nahīñ
sañg-e-dushnām baraste rahe har jānib se
saḳht-jāñ dil hī kuchh aisā thā ki TuuTā bhī nahīñ
kar to luuñ tark-e-tamannā kā irāda lekin
qahr ye hai vo fusūñ-gar sitam-ārā bhī nahīñ
rañg kyuuñ uḌ gayā gulshan ke havā-dāroñ kā
garm jhoñkā koī is raah se guzrā bhī nahīñ
sard hai marg-sifat misr-e-junūñ kā bāzār
ḳhvāb-e-yūsuf bhī nahīñ ḳhvāb-e-zuleḳhā bhī nahīñ