Ehtisham Husain

un aankhon ko nazar kya aa gaya hai

Ehtisham Husain

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1972
un āñkhoñ ko nazar kyā aa gayā hai
mizāj-e-ārzū badlā huā hai
na jaane haar hai yā jiit kyā hai
ġhamoñ par muskurānā aa gayā hai
mirī hālat pe un kā muskurānā
javāb-e-nā-murādī aa gayā hai
nahīñ ik maiñ hī nākām-e-mohabbat
yahī pahle bhī aksar ho chukā hai
sabā kī rau na ġhunchoñ kā tabassum
chaman vaalo kaho kyā ho gayā hai
shab-e-ġham sahmī sahmī yaad un kī
andhere meñ diyā sā jal rahā hai
nahīñ miltā surāġh-e-manzil-e-shauq
mohabbat se bhī jī ghabrā gayā hai
Top Urdushayar.com