Ehtisham Husain

Dar Dar ke jise main sun raha hun

Ehtisham Husain

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1912-1972
Dar Dar ke jise maiñ sun rahā huuñ
khoī huī apnī hī sadā huuñ
har lamha-e-hijr ik sadī thā
pūchho na ki kab se jī rahā huuñ
jab aañkh meñ aa ga.e haiñ aañsū
ḳhud bazm-e-tarab se uTh gayā huuñ
chhaTtī nahīñ ḳhū-e-haq-shanāsī
suqrāt huuñ zahr pī rahā huuñ
rahbar kī nahīñ mujhe zarūrat
har raah kā moḌ jāntā huuñ
manzil na milī to ġham nahīñ hai
apne ko to kho ke pā gayā huuñ
apnī hī havas thī sar-kashīda
dāman se ulajh ke gir paḌā huuñ
uryāni-e-fikr khul na jaa.e
ḳhvāboñ ke libās sī rahā huuñ
har manzil-e-marg-āfrīñ meñ
sar-gashta-e-zindagī rahā huuñ
dhabbe haiñ bahut se tīrgī ke
kin raushniyoñ meñ ghir gayā huuñ
Top Urdushayar.com