siip muTThī meñ hai āfāq bhī ho saktā hai
aur agar chāhūñ to ye ḳhaak bhī ho saktā hai
ye jo ma.asūm sā Dar hai kisī bachche jaisā
aise hālāt meñ saffāk bhī ho saktā hai
aao us tīsre nukte pe bhī kuchh ġhaur kareñ
ham jise juft kaheñ taaq bhī ho saktā hai
vajd meñ raqs to be-ḳhauf kiyā jaatā hai
ho agar ishq to bebāk bhī ho saktā hai
hijr nāsūr hai chup-chāp hī jhelo is ko
āh-o-zārī se ḳhatarnāk bhī ho saktā hai
ye jo sarsabz sā lagtā hai umīdoñ kā shajar
rut badalne pe ye ḳhāshāk bhī ho saktā hai
to abhī bhej de us paar se rahmat koī
maiñ ye suntī huuñ karam Daak bhī ho saktā hai
vo jo kosoñ tujhe phailā huā aatā hai nazar
vo samundar mirī poshāk bhī ho saktā hai
ye siyāh-baḳht use DhūñDne lag jaa.eñ agar
un ko phir nuur kā idrāk bhī ho saktā hai
maiñ jo miTTī se ḳhudā aur banānā chāhūñ
āsmāñ mere liye chaak bhī ho saktā hai
kyuuñ nā 'injīl' dobāra se utārī jaa.e
koī īsā.ī kī tarah paak bhī ho saktā hai