Injeel Saheefa

faza mein rang se bikhre hain chandni hui hai

Injeel Saheefa

Loralai, Balochistan, Pakistan

fazā meñ rañg se bikhre haiñ chāñdnī huī hai
kisī sitāre kī titlī se dostī huī hai
mirī tamām riyāzat kā ek hāsil hai
vahī duā jo tere naam se juḌī huī hai
maiñ hādse se nikal aa.ī huuñ magar dekho
zamīn ab bhī mire jism par paḌī huī hai
abhī to tū ne mirā haath bhī nahīñ thāmā
ye kis ḳhabar se zamāne meñ sansanī huī hai
udāsī joñk hai ye ḳhuun chuus letī hai
ye baat maiñ ne kahīñ aur bhī sunī huī hai
maiñ tere lams ke jaadū se ḳhuub vāqif huuñ
vo shāḳh huuñ jo tire haath par harī huī hai
jo āñkheñ señk rahe haiñ unheñ ḳhabar hī nahīñ
yahāñ pe ḳhvāb jale haiñ to raushnī huī hai
maiñ laal rañg lagātī thī niile ḳhvāboñ ko
isī liye to ye ta.abīr kāsnī huī hai
vo mere baare meñ kyā sochtā hai kyā ma.alūm
ḳhudā se merī mulāqāt sarsarī huī hai
maiñ pichhle saal kī tasvīr bhej detī tujhe
magar ye ek taraf se zarā jalī huī hai
mazā to jab hai ki 'injīl' hī lage sab ko
nuzūl-e-ishq pe jitnī bhī shā.irī huī hai
Top Urdushayar.com