zindagī vaqt ke pheroñ meñ guzar jaatī hai
maut chupke se dabe paañv chalī jaatī hai
log hañste hue chehre ko paḌhā karte haiñ
hālat-e-dil pe kahāñ kin kī nazar jaatī hai
sub.h phir dil meñ ik ummīd jagā detī hai
shaam phir yuuñ hī tamāshoñ meñ guzar jaatī hai
din tirī yādoñ ke saa.e meñ badal jaatā hai
raat phir ġham ke añdheroñ meñ guzar jaatī hai
ek ujḌe hue vīrān se ghar se 'almās'
koī aahaT koī dastak sī magar aatī hai