Azhar Adeeb

apna jaisa bhi haal rakkha hai

Azhar Adeeb

Ahmadpur Sarqia, Punjab, Pakistan

1949
apnā jaisā bhī haal rakkhā hai
tere ġham ko nihāl rakkhā hai
shā.erī kyā hai ham ne jiine kā
ek rasta nikāl rakkhā hai
ham ne ghar kī salāmtī ke liye
ḳhud ko ghar se nikāl rakkhā hai
mere andar jo sar-phirā hai use
maiñ ne zindāñ meñ Daal rakkhā hai
ek chehra hai ham ne jis ke liye
ā.inoñ kā ḳhayāl rakhā hai
is baras kā bhī naam ham ne to
terī yādoñ kā saal rakkhā hai
girte girte bhī ham ne hāthoñ par
āsmāñ ko sambhāl rakkhā hai
kyā ḳhabar shīshagar ne kyuuñ 'az.har'
mere shīshe meñ baal rakkhā hai
Top Urdushayar.com