Azhar Adeeb

qaza ka tir tha koi kaman se nikal gaya

Azhar Adeeb

Ahmadpur Sarqia, Punjab, Pakistan

1949
qazā kā tiir thā koī kamān se nikal gayā
vo ek harf jo mirī zabān se nikal gayā
bahut ziyāda jhuknā paḌ rahā thā us ke saa.e meñ
so ek din maiñ us ke sā.ebān se nikal gayā
abhī to tere aur tire adū ke darmiyān huuñ
agar kabhī maiñ thak ke darmiyān se nikal gayā
mire adū ke ḳhvāb chaknā-chūr ho ke rah ga.e
maiñ jast bhar ke dasht-e-imtihān se nikal gayā
tire kalām-e-fan kā sirf maiñ hī qadr-dān huuñ
agar maiñ terī is bharī dukān se nikal gayā
Top Urdushayar.com