darīchoñ meñ charāġhoñ kī kamī mahsūs hotī hai
yahāñ to phir havā kī barhamī mahsūs hotī hai
vo ab bhī guftugū kartā hai pahle kī tarah lekin
zarā sī barf lahje meñ jamī mahsūs hotī hai
tire va.ade kā saaya ho to sahrā ke safar meñ bhī
jhulastī lau havā-e-shabnamī mahsūs hotī hai
to kyā maiñ zabt ke me.aar par puurā nahīñ utrā
to kyā merī in āñkhoñ meñ namī mahsūs hotī hai
na jaane terī hālat kyā hai us ko dekh kar 'az.har'
mujhe to dil kī dhaḌkan bhī thamī mahsūs hotī hai