jagah phūloñ kī rakhte haiñ ghanā saaya banāte haiñ
chalo apne ḳhayālī shahr kā naqsha banāte haiñ
abhī to chaak par haiñ kyā kaheñ ham apne baare meñ
na jaane dast-e-kūza-gar hameñ kaisā banāte haiñ
banānī hai hameñ tasvīr-e-dil kāġhaz pe lekin ham
kabhī dariyā banāte haiñ kabhī sahrā banāte haiñ
ġhazal us ke liye kahte haiñ lekin dar-haqīqat ham
ghane jañgal meñ kirnoñ ke liye rasta banāte haiñ
kabhī bhūle se bhī us kī taraf mat dekhnā 'az.har'
zarā sī baat kā ye log afsāna banāte haiñ