haath diyā is ne mire haath meñ
maiñ to valī ban gayā ik raat meñ
ishq karoge to kamāoge naam
tohmateñ baTtī nahīñ ḳhairāt meñ
ishq burī shai sahī par dosto
daḳhl na do tum mirī har baat meñ
mujh pe tavajjoh hai sab āfāt kī
koī kashish to hai mirī zaat meñ
rāh-numā thā mirā ik sāmrī
kho gayā maiñ shahr-e-tilismāt meñ
mujh ko lagā aam sā ik aadmī
aayā vo jab kaam ke auqāt meñ
shaam kī gul-rañg havā kyā chalī
dard mahakne lagā jazbāt meñ
haath meñ kāġhaz kī liye chhatriyāñ
ghar se na niklā karo barsāt meñ
rabt baḌhāyā na 'qatīl' is liye
farq thā donoñ ke ḳhayālāt meñ