Azhar Adeeb

patta hun aandhiyon ke muqabil khaDa hun main

Azhar Adeeb

Ahmadpur Sarqia, Punjab, Pakistan

1949
pattā huuñ āñdhiyoñ ke muqābil khaḌā huuñ maiñ
girte hue daraḳht se kitnā baḌā huuñ maiñ
parcham huuñ raushnī kā mirā ehtirām kar
tārīkiyoñ kā rāsta roke khaḌā huuñ maiñ
mere hare vajūd se pahchān us kī thī
be-chehra ho gayā hai vo jab se jhaḌā huuñ maiñ
mat soch ye ki merī kisī ne nahīñ sunī
ye dekh apnī baat pe kitnā aḌā huuñ maiñ
ab us ke rābte bhī mire dushmanoñ se haiñ
jis ke vaqār ke liye 'az.har' laḌā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com