Azhar Adeeb

kal pardes mein yaad aaegi dhyan mein rakh

Azhar Adeeb

Ahmadpur Sarqia, Punjab, Pakistan

1949
kal pardes meñ yaad aa.egī dhyān meñ rakh
apne shahr kī miTTī bhī sāmān meñ rakh
saare jism ko le kar ghuum zamāne meñ
bas ik dil kī dhaḌkan pākistān meñ rakh
jaane kis raste se kirneñ aa jaa.eñ
dil dahlīz pe āñkheñ raushan-dān meñ rakh
jhiil meñ ik mahtāb zarūrī hotā hai
koī tamannā is chashm-e-hairān meñ rakh
ham se shart lagāne kī ik sūrat hai
apne saare ḳhvāb yahāñ maidān meñ rakh
jab bhī chāhūñ terā chehrā soch sakūñ
bas itnī sī baat mire imkān meñ rakh
titlī rasta bhuul ke aa bhī saktī hai
kāġhaz ke ye phuul abhī gul-dān meñ rakh
apne dil se rusvā.ī kā ḳhauf nikāl
'az.har' ab tasvīr mirī dālān meñ rakh
Top Urdushayar.com