dar TūTne lage kabhī dīvār gir paḌe
har roz mere sar pe ye talvār gir paḌe
itnā bhī inhisār mire saa.e par na kar
kyā jaane kab ye mom kī dīvār gir paḌe
sāñseñ bichhā ke so.uuñ ki dast-e-nasīm se
shāyad kisī ke jism kī mahkār gir paḌe
Thahre to sā.ebān havā ne uḌā diye
chalne lage to raah ke ashjār gir paḌe
har zāviye pe soch meñ ubhre vahī badan
har dā.ere pe haath se parkār gir paḌe
'az.har' ye lamha lamha sulagnā azaab hai
mujh par jo barq girnī hai ik baar gir paḌe