Azhar Adeeb

dar-o-diwar se Dar lag raha tha

Azhar Adeeb

Ahmadpur Sarqia, Punjab, Pakistan

1949
dar-o-dīvār se Dar lag rahā thā
tirā ghar bhī mirā ghar lag rahā thā
usī ne sab se pahle haar maanī
vahī sab se dilāvar lag rahā thā
jise mahtāb kahtā thā zamāna
tire kūche kā patthar lag rahā thā
jagah ab chhoḌ duuñ beTe kī ḳhātir
vo kal mere barābar lag rahā thā
ḳhabar kyā thī bagūloñ kā hai maskan
pare se to samundar lag rahā thā
chhalaktī thī ġhazal har zāviye se
tirā paikar suḳhnavar lag rahā thā
Thahartā kaun ik mere alāva
vahāñ to daav par sar lag rahā thā
tirī yādoñ kī rut aa.ī huī thī
ye sahrā mor kā par lag rahā thā
mire dīvār-o-dar bhī kāġhzī the
ghaTā meñ bhī samundar lag rahā thā
Top Urdushayar.com