Azhar Adeeb

ghaneri chhanw ke sapne bahut dikhae gae

Azhar Adeeb

Ahmadpur Sarqia, Punjab, Pakistan

1949
ghanerī chhāñv ke sapne bahut dikhā.e ga.e
savāl ye hai ki kitne shajar ugaa.e ga.e
milī hai aur hī ta.abīr aa ke manzil par
vo aur ḳhvāb the raste meñ jo dikhā.e ga.e
mire lahū se mujhe munhadim karāyā gayā
dayār-e-ġhair se lashkar kahāñ bulā.e ga.e
diye banā ke jalā.ī thiiñ uñgliyāñ ham ne
añdherī shab kī adālat meñ ham bhī laa.e ga.e
falak pe uḌte huoñ ko qafas meñ Daalā gayā
zamīñ pe reñgne vāloñ ko par lagā.e ga.e
hamāre naam kī taḳhtī bhī un pe lag na sakī
lahū meñ gūñdh ke miTTī jo ghar banā.e ga.e
mile the pahle se likkhe hue adālat ko
vo faisle jo hameñ ba.ad meñ sunā.e ga.e
tamām sa.ad sitāre bigaḌ ga.e 'az.har'
sulagtī ret pe jab zā.iche banā.e ga.e
Top Urdushayar.com