Azhar Adeeb

subh kaisi hai wahan sham ki rangat kya hai

Azhar Adeeb

Ahmadpur Sarqia, Punjab, Pakistan

1949
sub.h kaisī hai vahāñ shaam kī rañgat kyā hai
ab tire shahr meñ hālāt kī sūrat kyā hai
ek āzār dhaḌaktā hai yahāñ siine meñ
ab tujhe kaise batā.eñ ki mohabbat kyā hai
hukm detā hai to āvāz laraz jaatī hai
jaane ab ke mire sālār kī niyyat kyā hai
ye jo maiñ peḌ ugāne meñ lagā rahtā huuñ
maiñ samajhtā huuñ mirī pahlī zarūrat kyā hai
merā to ye hai ki maiñ bikhrā huā huuñ ab tak
tū batā mujh se bichhaḌ kar tirī hālat kyā hai
aañkh meñ uḌtī huī dhuul batā detī hai
dil meñ aa.e hue bhauñchāl kī shiddat kyā hai
lamha lamha maiñ khiñchā jaatā huuñ us kī jānib
jaane us miTTī se 'az.har' mirī nisbat kyā hai
Top Urdushayar.com