Azhar Adeeb

lahje aur aawaz mein rakkha jata hai

Azhar Adeeb

Ahmadpur Sarqia, Punjab, Pakistan

1949
lahje aur āvāz meñ rakkhā jaatā hai
ab to zahr alfāz meñ rakkhā jaatā hai
mushkil hai ik baat hamāre maslak kī
apne aap ko raaz meñ rakkhā jaatā hai
ik sho.ala rakhnā hotā hai siine meñ
ik sho.ala āvāz meñ rakkhā jaatā hai
ham logoñ ko ḳhvāb dikhā kar manzil kā
raste ke āġhāz meñ rakkhā jaatā hai
yahāñ to uḌte uḌte thak kar girne tak
chiḌiyā ko parvāz meñ rakkhā jaatā hai
āḳhir-e-shab jo ḳhvāb dikhā.ī dete hoñ
'az.har' un ko raaz meñ rakkhā jaatā hai
Top Urdushayar.com