kuchh ab ke rasm-e-jahāñ ke ḳhilāf karnā hai
shikast de ke adū ko maaf karnā hai
havā ko zid ki uḌā.egī dhuul har sūrat
hameñ ye dhun hai ki ā.īna saaf karnā hai
vo boltā hai to sab log aise sunte haiñ
ki jaise us ne koī inkishāf karnā hai
mujhe pata hai ki apne bayān se us ne
kahāñ kahāñ pe abhī inhirāf karnā hai
charāġh le ke hathelī pe ghūmnā aise
havā-e-tund ko apne ḳhilāf karnā hai
vo jurm ham se jo sarzad nahīñ hue 'az.har'
abhī to un kā hameñ e'tirāf karnā hai