visāl kī sarhadoñ tak aa kar jamāl terā palaT gayā hai
vo rañg tū ne mirī nigāhoñ pe jo bikherā palaT gayā hai
kahāñ kī zulfeñ kahāñ ke bādal sivā.e tīra-nasīboñ ke
mirī nazar ne jise pukārā vahī añdherā palaT gayā hai
na chhāñv karne ko hai vo āñchal na chain lene ko haiñ vo bāñheñ
musāfiroñ ke qarīb aa kar har ik baserā palaT gayā hai
mire tasavvur ke rāstoñ meñ ubhar ke Duubī hazār aahaT
na jaane shām-e-alam se mil kar kahāñ saverā palaT gayā hai
milā mohabbat kā rog jis ko 'qatīl' kahte haiñ log jis ko
vahī to dīvāna kar ke terī galī kā pherā palaT gayā hai