har savāl kā apne ḳhud javāb ho jaa.e
zarre kī tamannā hai āftāb ho jaa.e
tū kabhī jo bhūle se be-naqāb ho jaa.e
muntaqil haqīqat meñ apnā ḳhvāb ho jaa.e
ishq ke parastāro kuchh kamī to hai varna
bul-havas mohabbat meñ kāmyāb ho jaa.e
ham-nafas ḳhudā-hāfiz ġhuncha-o-anādil kā
bāġhbāñ kī niyyat hī jab ḳharāb ho jaa.e
mai-kade meñ tauba kā kis ko hosh rahtā hai
aur har nazar terī jab sharāb ho jaa.e