terī ḳhushbū kā tarāshā hai ye paikar kis ne
kar diyā hai mirā māhaul mo.attar kis ne
āsmāñ himmat-e-parvāz se kuchh duur nahīñ
is tamannā ke magar kaaT liye par kis ne
nā-samajh qatra-e-nāchīz kī vaq.at ko samajh
tū samundar hai banāyā hai samundar kis ne
kis kī pāzeb kā sañgīt hai hastī merī
paañv se bāñdh liyā merā muqaddar kis ne
partav-e-husn hai nāhīd guzar-gāh-e-ḳhayāl
sar pe rakkhī hai chhalaktī huī gāgar kis ne
ḳhushnumā dā.ere bante hī chale jaate haiñ
dil ke tālāb meñ pheñkā hai ye kañkar kis ne
tū merā dost sahī yaar magar ye to batā
vaqt ye dhoka diyā hai mujhe akasr kis ne
daf.atan kis ne jagā dī mirī soī qismat
merā muñh chuum liyā ḳhvāb meñ 'afsar' kis ne