Afsar Azri

abhi mohabbat ki ibtida hai dilon ke arman nikal rahe hain

Afsar Azri

abhī mohabbat kī ibtidā hai diloñ ke armāñ nikal rahe haiñ
abhī hai āġhāz mastiyoñ kā sharāb ke daur chal rahe haiñ
ajiib barsāt kā samāñ hai nazar ko har vaqt ye gumāñ hai
ki husn añgḌā.ī le rahā hai hasīn kapḌe badal rahe haiñ
abhī javānī pe haiñ umañgeñ diloñ meñ haiñ saiñkaḌoñ tarañgeñ
jo do charāġh aaj bujh rahe haiñ to das charāġh aur jal rahe haiñ
qadam qadam par thā ḳhauf-e-tūfāñ jagah jagah thā fanā kā sāmāñ
magar rahe ishq terī himmat mire irāde aTal rahe haiñ
sulag rahe haiñ abhī hamāre diloñ ke ātish-kade musalsal
jalā chuke the abhī jo ham ko ab un kī baarī hai jal rahe haiñ
nahīñ zamāne se koī shikva hameñ gila hai to sirf ye hai
tirī nazar meñ bhī ham ba-rañg-e-shikāyat-e-be-mahal rahe haiñ
huī sahar ḳhatm par hai mahfil uTho ki 'afsar' uchāT hai dil
na husn meñ ab vo dilkashī hai na zulf meñ ab vo hal rahe haiñ
Top Urdushayar.com