jalve nahīñ hote vo nazāre nahīñ hote
jab chāñd ke pahlū meñ sitāre nahīñ hote
ham is liye karte haiñ tire ġham kī parastish
kāñToñ ke ḳharīdār to saare nahīñ hote
sāhil ke talabgār ye pahle se samajh leñ
dariyā-e-mohabbat ke kināre nahīñ hote
uThte hue jazbāt ke tūfāñ nahīñ rukte
pāband-e-ravish vaqt ke dhāre nahīñ hote