Anis Dehlavi

aap ka koi safar be-samt be-manzil na ho

Anis Dehlavi

Delhi, India

1930
aap kā koī safar be-samt be-manzil na ho
zindagī aisī na jiinā jis kā mustaqbil na ho
aaj ke shahzāde sab kuchh chāhte haiñ is tarah
saḳhtī-e-mausam bhī kam ho raah bhī mushkil na ho
terā sarmāya tirī daulat yahī ik chiiz hai
ek pal kirdār kī ta.amīr se ġhāfil na ho
us ne ḳhushiyoñ ke ḳhazāne vā kiye mujh par magar
be-tahāshā raushnī kī tīrgī hāsil na ho
apnī qurbat ke kuchh aise naqsh dil par chhoḌ de
vo bhī chāhe to mohabbat kā asar zaa.il na ho
ye samajh lo be-hisī us kā muqaddar ban chukī
ai 'anīs' apnī ġhalat-kārī pe jo qaa.el na ho
Top Urdushayar.com