na rahbarī kā koī silsila nazar aa.e
chalo vo raah jo be-naqsh-e-pā nazar aa.e
uḌā ga.e haiñ bahut dhuul jaane vaale log
chhaTe ġhubār to kuchh rāsta nazar aa.e
bas ek lams kā ehsās kar gayā bechain
mahak hī terī na dast-e-havā nazar aa.e
nigāh chāhiye bas ahl-e-dil faqīroñ kī
burā bhī dekhūñ to mujh ko bhalā nazar aa.e
hameñ ye sharm ki ham se to bandagī na huī
vo chāhtā hai ki misl-e-ḳhudā nazar aa.e
jo apne aap se aage na dekh saktā ho
hamārā haal bhalā us ko kyā nazar aa.e
qusūr-vār na ho kar bhī tum miTāo use
'anīs' yaar koī jab ḳhafā nazar aa.e