jo dil bāñdhe vo jaadū jāntā hai
mirā mahbūb urdu jāntā hai
baḌe zālim haiñ ishq-o-mushk donoñ
mirī vahshat ko aahū jāntā hai
pata is kā to ham rindoñ se pūchho
ḳhudā ko kab ye sādhū jāntā hai
amīr-e-shahr kyā samjhegā un ko
mire ashkoñ ko jugnū jāntā hai
maiñ sau pardoñ meñ tujh ko DhūñD lūñgā
ki bhañvrā terī ḳhushbū jāntā hai
tumhārā ḳhauf-e-rusvā.ī hai bejā
kahāñ girnā hai aañsū jāntā hai
tabhī to guftugū mīThī hai us kī
'anīs' ādāb-e-urdu jāntā hai