kījiye hunar kā zikr kyā ābrū-e-hunar nahīñ
sab ke banā.e ham ne ghar aur hamārā ghar nahīñ
kaisā ajiib vaqt hai koī bhī ham-safar nahīñ
dhuup bhī mo'tabar nahīñ saaya bhī mo'tabar nahīñ
jo mere ḳhvāb meñ rahī paikar-e-rañg-e-nūr thī
ye to lahūluhān hai ye to mirī sahar nahīñ
bhaTke hue haiñ qāfile kaise mileñgī manzileñ
sab to bane haiñ rāhzan koī bhī rāhbar nahīñ
kaisā ajiib hādsa ham pe guzar gayā 'anīs'
raakh kabhī ke ho chuke aur hameñ ḳhabar nahīñ