Qateel Shifai

ufuq ke us par zindagi ke udas lamhe guzar aaun

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
ufuq ke us paar zindagī ke udaas lamhe guzār aa.uuñ
agar mirā saath de sako tum to maut ko bhī pukār aa.uuñ
kuchh is tarah jī rahā huuñ jaise uThā.e phirtā huuñ laash apnī
jo tum zarā sā bhī do sahārā to bār-e-hastī utaar aa.uuñ
badal ga.e zindagī ke mehvar tavāf-e-dair-o-haram kahāñ kā
tumhārī mahfil agar ho baaqī to maiñ bhī parvāna-vār aa.uuñ
koī to aisā maqām hogā jahāñ mujhe bhī sukūñ milegā
zamīñ ke tevar badal rahe haiñ to āsmāñ ko sañvār aa.uuñ
agarche isrār-e-be-ḳhudī hai tujhe bhī zar-posh mahfiloñ meñ
mujhe bhī zid hai ki tere dil meñ nuqūsh-e-māzī ubhār aa.uuñ
sunā hai ek ajnabī sī manzil ko uTh rahe haiñ qadam tumhāre
burā na maano to rahnumā.ī ko maiñ sar-e-rahguzār aa.uuñ
Top Urdushayar.com