Ali Yasir

aab mein zaiqa-e-shir nahin ho sakta

Ali Yasir

aab meñ zā.iqa-e-shīr nahīñ ho saktā
ḳhvāb to ḳhvāb hai ta.abīr nahīñ ho saktā
mujh ko pāband-e-salāsil koī jitnā kar le
par mirā azm to zanjīr nahīñ ho saktā
har taraf ġhul hai shahanshāh kī marzī ke baġhair
ab koī lafz bhī tahrīr nahīñ ho saktā
rizq jaisā hai muqaddar meñ likhā hotā hai
fan kisī shaḳhs kī jāgīr nahīñ ho saktā
ham ne darvāza-e-mizhgāñ pe sajā rakkhā hai
vo sitārā ki jo tasḳhīr nahīñ ho saktā
Top Urdushayar.com