Qateel Shifai

hadse phail gae saya-e-mizhgan ki tarah

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
hādse phail ga.e sāya-e-mizhgāñ kī tarah
ġham-e-daurāñ bhī milā hai ġham-e-jānāñ kī tarah
laakh paivand umīdoñ ne lagā rakkhe haiñ
dil kī sūrat nazar aatī hai garebāñ kī tarah
koī aflāk-nashīñ hai to pukāre mujh ko
hasrateñ ḳhāk-basar haiñ mirī tūfāñ kī tarah
aur hoñge vo mayassar hai jinheñ lutf-e-bahār
ham to gulshan meñ bhī rahte haiñ bayābāñ kī tarah
jo bhī gul hai yahāñ firdaus banā baiThā hai
kaun khiltā hai yahāñ ġhuncha-e-isyāñ kī tarah
ye bhī e.ajāz kahīñ bād-e-muḳhālif kā na ho
dil uḌā jaatā hai aurañg-e-sulaimāñ kī tarah
ḳhauf-e-mahshar se na ghabrāo tum ai bāda-kasho
dar-e-tauba bhī khulā hai dar-e-zindāñ kī tarah
ham kiyā karte haiñ ashkoñ se tavāzo.a kyā kyā
jab ḳhayāloñ meñ vo aa jaate haiñ mehmāñ kī tarah
na koī saaz na sañgīt na pāzeb na giit
uf ye māhaul ki hai shahr-e-ḳhamoshāñ kī tarah
ham tire misr meñ aa.e haiñ zuleḳhā-e-shikam
bik na jaa.eñ kahīñ ham yūsuf-e-kan.āñ kī tarah
Top Urdushayar.com