ahd-e-sad-maslahat-andesh nibhānā paḌegā
muskurāne ke liye ġham ko bhulānā paḌegā
jānte haiñ ki ujaḌ jā.eñge ham andar se
mānte haiñ ki tumheñ shahr se jaanā paḌegā
āmad-e-fasl-e-bahārāñ pe koī jashn to ho
dosto dil pe koī zaḳhm khilānā paḌegā
chashm-e-bad-dūr yahī ik mirā sarmāya hai
terī yādoñ ko zamāne se chhupānā paḌegā
tumheñ jaanā hai chale jaao magar shart ye hai
ki bilā-nāġha tumheñ ḳhvāb meñ aanā paḌegā
ḳhud ko pahchān nahīñ pā.eñge chehroñ vaale
unheñ ā.īna-e-auqāt dikhānā paḌegā
nazar-andāz bhī kar sakte ho iḳhlās mirā
ye koī qarz nahīñ hai jo chukānā paḌegā
shā.irī ho to nahīñ saktī kabhī terā badal
kyā kareñ dil to kahīñ aur lagānā paḌegā
thak na jaa.e vo kahīñ ham pe sitam karte hue
'yāsir' us kā bhī hameñ haath baTānā paḌegā