Asif-ud-Daula

aankhon se apni aasif tu ehtiraaz karna

Asif-ud-Daula

1748-1797
āñkhoñ se apnī 'āsif' tū ehtirāz karnā
ye ḳhū burī hai in kā ifshā-e-rāz karnā
jaate to ho piyāre uktā ke mujh kane se
par vāste ḳhudā ke phir sarfarāz karnā
do-chār din meñ zālim hovegī ḳhat kī shiddat
ye husn aarzī hai is par na naaz karnā
phirte ho tum har ik jā ham bhī to āshnā haiñ
yaañ bhī karam kabhī ai banda-navāz karnā
dil to bahut liye haiñ tum ne har ek jā se
is mere dil kā sāhab kuchh imtiyāz karnā
Top Urdushayar.com