milne ko tujh se dil to mirā be-qarār hai
tū aa ke mil na mil ye tirā iḳhtiyār hai
jis jis ke paas dosto jis jis kā yaar hai
behtar chaman se ghar meñ isī ke bahār hai
tum zaḳhm-e-dil kī mere ḳhabar pūchhte ho kyā
tīr-e-nigāh dil ke to ab vār-pār hai
gar dushmanī pe dost ne bāñdhī mire kamar
dushman hai ab jo koī mirā dost-dār hai
lagtī nahīñ palak se mirī ab zarā palak
aane kā is ke jab se mujhe intizār hai
ai shahsavār us ko bhī kar le tū ab shikār
ye said-e-dil bhī umr se umīd-vār hai
ye kuchh to haal tere dīvāne kā ab huā
jīdhar ko jaave aah use maar maar hai
ai gul tujhe aziiz huuñ rakhtā maiñ is liye
yaanī ki tujh meñ ek ramaq bū-e-yār hai
ye kis ke dil ko chhīn ke karte haiñ pā.emāl
in zālimoñ kā aah yahī kārobār hai
'āsif' ḳhudā ke vāste mat de butoñ ko dil
ye vo haiñ jin ke qaul kā kyā e'tibār hai