jo shamshīr terī alam dekhte haiñ
to vohīñ sar apnā qalam dekhte haiñ
tujhe ġhair se jab baham dekhte haiñ
na dekhe koī jo ki ham dekhte haiñ
jo chāheñ ki likkheñ kuchh ahvāl dil kā
to hāthoñ ko apne qalam dekhte haiñ
to jaldī se aavar na mere masīhā
koī dam ko rāh-e-adam dekhte haiñ
galī meñ butoñ kī shab-o-roz 'āsif'
tamāshā ḳhudā.ī kā ham dekhte haiñ