vahshat meñ sū-e-dasht jo ye aah le ga.ī
kyā kyā kuñ.eñ jhukāne tirī chaah le ga.ī
aa.e kabhī na raah pe kyā jāniye hameñ
kīdhar ko ye tabī.at gumrāh le ga.ī
ka.abe meñ bhī ga.e to hameñ terī yaad aah
phir sū-e-dair ai but-e-dil-ḳhvāh le ga.ī
us ne kahāñ bulāyā thā ye is ke ghar hameñ
nāhaq zabān-e-ḳhalq kī afvāh le ga.ī
jārūb-kash ne us ke na rahne diyā mujhe
gardāñ nasīm shakl-e-par-e-kāh le ga.ī
juuñ tiir dil se aah jo nikle to kyā kahūñ
bas jaan ko bhī apne vo hamrāh le ga.ī
'āsif' chaman meñ aate hī us rashk-e-gul kī yaad
kyā jāniye kidhar mujhe nāgāh le ga.ī