Asif-ud-Daula

kis qadar dard ke shab karta tha mazkur tera

Asif-ud-Daula

1748-1797
kis qadar dard ke shab kartā thā mazkūr tirā
vo hī bīmār tirā ḳhasta-o-ranjūr tirā
be-ḳhabar ab bhī shitābī se pahuñch Dartā huuñ
kushta-e-hijr na ho ye kahīñ mahjūr tirā
ye na aane ke bahāne haiñ sabhī varna miyāñ
itnā to ghar se mire kuchh nahīñ ghar duur tirā
nīchī nazroñ se tirī Dartā huuñ kyā kuchh na kareñ
dekh lenā to yahāñ sab ko hai manzūr tirā
āñkheñ in rozoñ meñ sach kahiyo laḌā.eñ kis se
be-tarah jhamke hai kuchh dīda-e-maḳhmūr tirā
jis kī tū yaarī kare yārī-e-do-jag vo kare
nāsir-e-har-do-jahāñ hove hai mansūr tirā
shash-jihat tujh satī ma.amūr hai allāh allāh
jhamke hai chāroñ taraf nām-e-ḳhudā nuur tirā
Top Urdushayar.com