Asif-ud-Daula

qasid to liye jata hai paigham hamara

Asif-ud-Daula

1748-1797
qāsid to liye jaatā hai paiġhām hamārā
par Darte hue le jo vahāñ naam hamārā
kyā taab hai jo sāmne Thahre koī us ke
aafat hai ġhazab hai vo dil-ārām hamārā
āġhāz ne to ishq ke ye haal dikhāyā
ab dekhiye kyā hovegā anjām hamārā
ai charḳh isī tarah tū gardish meñ rahegā
par tujh se na niklegā kabhū kaam hamārā
ai pīr-e-muġhāñ dekhiyo 'āsif' ye kahe hai
ḳhālī na rahe mai se sadā jaam hamārā
Top Urdushayar.com