Asif-ud-Daula

kya fash karun gham-e-nihan ko

Asif-ud-Daula

1748-1797
kyā faash karūñ ġham-e-nihāñ ko
pāyāñ nahīñ merī dāstāñ ko
qisse ko na pūchho mere hargiz
yaarā hī nahīñ dil-o-zabāñ ko
darpai haiñ nasīhatoñ ke yārab
samjhā.ūñ maiñ kyuuñ ke dostāñ ko
go ham ne silāyā jeb-o-dāmāñ
kyā kījiyegā chashm-e-ḳhūñ-fishāñ ko
ho gar na vo sham.a-rū hī to phir
kyā aag lagā.ūñ dūd-māñ ko
guzrā thā udhar se kal jo shāyad
aayā thā vo mere imtihāñ ko
aa.e to abhī the mere sāhab
aisī jaldī chale kahāñ ko
ai yaaro samajh ke bolo us bin
maiñ jā.ūñgā bāġh-o-bostāñ ko
'āsif' abhī maiñ ne kyā kahā thā
Tuk band nahīñ tirī zabāñ ko
Top Urdushayar.com