Asif-ud-Daula

puchhte kya ho mere tum dil-e-diwane se

Asif-ud-Daula

1748-1797
pūchhte kyā ho mire tum dil-e-dīvāne se
ishq ke ramz ko pūchho kisī farzāne se
jī nikal jāvegā zālim mirā ab jaane se
yaañ na aanā hī bhalā thā tire is aane se
roz ke dukh se chhaTā raat ke jalne se rahā
dostī sham.a ne kī dosto parvāne se
dil bajā lāvegā jo kuchh ise kiije irshād
ye to bāhar nahīñ kuchh aap ke farmāne se
yuuñ yakāyak jo hue us ke jigar ke TukḌe
nahīñ ma.alūm kahā zulf ne kyā shāne se
zabt lāzim hai jab hī tak ki na ho aañkh meñ ashk
ab to bhar aayā hai dil ashk ke bhar aane se
ro le dil khol ke tū is ghaḌī 'āsif' apnā
nahīñ ghuT jāvegā dam ashk ke pī jaane se
Top Urdushayar.com