Asif-ud-Daula

jis dam tere kuche se hum aan nikalte hain

Asif-ud-Daula

1748-1797
jis dam tire kūche se ham aan nikalte haiñ
har gaam pe dahshat se be-jān nikalte haiñ
ye aan hai ai yaaro yā nok hai barchhī kī
yā siine se tīroñ ke paikān nikalte haiñ
rindoñ ne kahīñ un kī ḳhidmat maiñ be-adabī kī
jo shaiḳh jī majlis se sarsān nikalte haiñ
ye tifl-e-sarishk apne aisā ho miyāñ bahkeñ
be-tarah ye ab ghar se nādān nikalte haiñ
ye zid hai jinheñ yaaro aa jaa.eñ jo mash.had par
to thaam ke hāthoñ se dāmān nikalte haiñ
kis tarah ġhubār un tak pahuñchegā bhalā apnā
'āsif' jo kabhī ghar se ḳhūbān nikalte haiñ
Top Urdushayar.com